mera guman hai shayad ye waqia ho jae ki sham mujh mein dhale aur sab fana ho jae ho baat us se kuchh aise ki waqt sakit ho kalam apna takallum se mawara ho jae bacha ke aankh main khud apni khoj mein niklun mere wajud mein ek chor rasta ho jae kuchh is tarah wo nigah-e-khayal mein utre ki us ke aage jhukun aur wo khuda ho jae ata ho chashm-e-tamanna ko wo qarina-e-did ki shauq dast-e-taqaza se ma-siwa hua jae rahe ye tishna-labi dasht-e-shauq mein qaem wo intihaen milen meri ibtida ho jae nasib ho kabhi aisi bhi ek sahar 'asim' ki sham-e-hijr ki furqat ka saneha ho jae