shauq ki nigahon ka aaj imtihan kar len

shauq ki nigahon ka aaj imtihan kar len
be-niyaz nazron ko dil ka raazdan kar len

jis ke waste barson sai-e-raegan ki hai
ab use bhulane ki sai-e-raegan kar len

raazdari-e-ulfat ta-ba-kai kare koi
sargiran hai wo yun bhi aur sargiran kar len

aap ke liye koi din-o-dil luta baitha
ek nigah-e-khandan ka aap bhi ziyan kar len

aap se use nisbat aap se ta'alluq kya
aaiye zara hum bhi zikr-e-asman kar len

ek musht-e-khas par ye nur-e-husn ki barish
phir kisi tarah tamir apna aashiyan kar len

jis qadar mile kam hai dard-e-ishq ki daulat
har hikayat-e-gham ko apni dastan kar len

khush-gumaniyan un ki wajh-e-be-niyazi hain
rukhsat ai wafa-keshi kuchh to bad-gumaniyan kar len

hairat-e-nazara hai pasban-e-chashm-o-dil
aap har karishma ko sarf-e-imtihan kar len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close