mujhe aamajgah-e-nawak-e-bedad rahne de

mujhe aamajgah-e-nawak-e-bedad rahne de
jo is ka nam barbaadi hai to barbaad rahne de

sarisht-e-ishq lazzat-ashna-e-talkh-kaami hai
main nashad-e-tamanna hun mujhe nashad rahne de

nahin jab subha-o-zunnar ke phande mein girai
mujhe dair-o-haram ke dam se aazad rahne de

abhi se kyon bani jati hai chashm-e-naz begana
fareb-e-arzu kuchh din sitam-ijad rahne de

kiya hai kin umidon par faraham aashiyan main ne
khudara mausam-e-gul tak mere sayyaad rahne de

hamein aazadi-e-fikr-o-nazar ka iddaa to hai
koi ghaarat-gar-e-iman agar aazad rahne de

dil-e-barbaad se ye chashmak-e-chashm-e-tarab kyon hai
karam-na-ashna ko khugar-e-bedad rahne de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close