shauq mein haal se behaal hue jate hain hum teri rah mein pamal hue jate hain kya sitam hai ki tere hijr mein rafta-rafta ab shab-o-roz mah-o-sal hue jate hain aap ki yaad ne phir aa ke mujhe chhed diya aaj phir ashk-e-wafa lal hue jate hain kahiye kya un ke muqaddar ko zahe bakht-e-rasa tere qadmon mein jo pamal hue jate hain na-muradi mein ye asbab-e-faraghat 'razmi' zindagi ke liye janjal hue jate hain