shauq se KHud jo mere rah-numa hote hain

shauq se khud jo mere rah-numa hote hain
meri qismat ki wahi aabla-pa hote hain

lafz ki bazm-e-pur-asrar mein khuban-e-khayal
kabhi mastur kabhi chehra-kusha hote hain

sher ke rup mein dhalte nahin wo hangame
jo meri bazm-e-tasawwur mein bapa hote hain

ab ye aalam hai ki marne pe chale aaen jo dost
wo bhi min-jumla-e-arbab-e-wafa hote hain

yahi but shab ke andhere mein jo hain talib-e-shauq
yahi but din ke ujale mein khuda hote hain

koi parwanon ko samjhao ki jine ke siwa
aur bhi chand maqamat-e-wafa hote hain

baada-noshi pe musir baada-faroshi pe khafa
mahw-e-hairat hun ki ye log bhi kya hote hain

shara-o-ain ki har ek aad mein karte hain sawal
ye jo zartar qabaon mein gada hote hain

kya bataen tujhe kyon hote hain us bin bechain
naseha tang na kar kah jo diya hote hain

mujhe biti hui raaton ki mahak aati hai
hijr ke din bhi teri zulf-e-rasa hote hain

lab pe hoti hui aankhon mein hansi jati hai
ai buto pyar ke andaz juda hote hain

mere gulshan mein jo paband-e-qafas hain wo tuyur
dida-war shoala-zaban naghma-sara hote hain

nazar aate hain jahan khun ke dariya jari
tah mein diwanon ke naqsh-e-kaf-e-pa hote hain

sher sun kar mere hanste hain ki aashiq hai kahin
yani khuban-e-sitam-pesha bala hote hain

qarz jitne gham-e-dauran ke hain mujh par 'abid'
gham-e-jaanan ke wasile se ada hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close