shayad jo zahr shahr mein tha kaam kar gaya khud se mile hue bhi zamana guzar gaya pagal koi ek ek se yahi puchhta tha kal hum sab ka ek ghar tha batao kidhar gaya suraj ko janm de ke jhulasne ke waste thandi si ret chhod samundar utar gaya socha tha apne dil mein sanwarunga main tumhein tum aae tum ko dekh ke main khud bikhar gaya jab tak main zindagi ko na samjha tha ji liya jab aa gai samajh mein to be-maut mar gaya har sham kitne dard se dekha hai ye 'hasan' suraj ka khun pi ke samundar nikhar gaya