shayad kabhi aisa ho kuchh film sa kar jaun kuchh qatl karun chun kar aur baad mein mar jaun main be-sar-o-saman is bazar-e-tamaddun mein namus buzurgon ka nilam na kar jaun duniya-e-sukun-agin phir zer qadam hogi sanson ke samundar se bas par utar jaun mumkin hai ki mil jae wo aakhiri sima tak kya ai dil-e-pazh-murda main us ki dagar jaun ye aakhiri khwahish bhi shayad ki na puri ho namnak hon kuchh aankhen jab chhod ke ghar jaun ehsas dila jaun yaron ki samaat ko jhatka sa lage ban kar ek aisi khabar jaun har shakhs ke honton par apne hi masail hain behtar hai yahi 'arshad' chup-chap guzar jaun