us ne puchha bhi magar haal chhupae gae hum apne hi aap mein ek hashr uthae gae hum zindagi dekh ki ehsan tere kitne hain dil ke har dagh ko aaina banae gae hum phir wahi sham wahi dard wahi apna junun jaane kya yaad thi wo jis ko bhulae gae hum kin darichon ke charaghon se hamein nisbat thi ki abhi jal nahin pae ki bujhae gae hum umr bhar hadse hi karte rahe istiqbaal waqt aisa tha ki sine se lagae gae hum raste daude chale jate hain kin samton ko dhup mein jalte rahe sae bichhae gae hum dasht-dar-dasht bikharte chale jate hain 'shanas' jaane kis aalam-e-wahshat mein uthae gae hum