shayad kisi bala ka tha saya darakht par chidiyon ne raat shor machaya darakht par mausam tumhaare sath ka jaane kidhar gaya tum aae aur bor na aaya darakht par dekha na jae dhup mein jalta hua koi mera jo bas chale karun saya darakht par sab chhode ja rahe the safar ki nishaniyan main ne bhi ek naqsh banaya darakht par ab ke bahaar aai hai shayad ghalat jagah jo zakhm dil pe aana tha aaya darakht par hum donon apne apne gharon mein muqim hain padta nahin darakht ka saya darakht par