qadam zamin pe na the rah hum badalte kya hawa bandhi thi yahan pith par sambhalte kya phir us ke hathon hamein apna qatl bhi tha qubul ki aa chuke the qarib itne bach nikalte kya yahi samajh ke wahan se main ho liya rukhsat wo chalte sath magar dur tak to chalte kya tamam shahr tha ek mom ka ajaib-ghar chadha jo din to ye manzar na phir pighalte kya wo aasman the ki aankhen samettin kaise wo khwab the ki meri zindagi mein dhalte kya nibahane ki use bhi thi aarzu to bahut hawa hi tez thi itni charagh jalte kya uthe aur uth ke use ja sunaya dukh apna ki sari raat pade karwaten badalte kya na aabru-e-talluq hi jab rahi 'bani' baghair baat kiye hum wahan se talte kya