shayad kisi ne aap se ye kah diya ghalat mumkin hai aap hi ne kahin sun liya ghalat wallah ab bhi aap ka main jaan-nisar hun main aur aap hi se kahunga bhala ghalat muddat ke baad aaj nazar aae shukr hai dekha ye jab se tum ko mera gham hua ghalat hum ko nahin hai wasta kuchh ishq se wale charcha kisi ne kar diya hai ja-ba-ja ghalat jate the ghar raqib ke par aa gae yahan un ko bata diya hai kisi ne pata ghalat hum ne suna ki hazrat-e-'kaamil' guzar gae hai aarzu ki nikle khabar ya-khuda ghalat