kyon hone lage dil mein ye ranj-o-mehan paida yun hone lagi mere sine mein jalan paida kyon tis si uthti hai rah rah ke mere dil mein kyon hai ye khalish aakhir kyon hai ye chubhan paida mail hai sitam par kyon kuchh lutf uthane de phir honge na duniya mein ai charkh-e-kuhan paida 'sauda' hai na 'insha' hai 'ghaalib' hai na 'akbar' hai hon hind mein phir aise arbab-e-sukhan paida dawa-e-ghazal-goi karta hai agar 'kaamil' shagird kisi ka ho gar mashq-e-sukhan paida