shayad koi nigah kare meri zat par dastak to de raha hun dar-e-kaenat par dushman se kah raha hun teri anjuman ka raaz ya phul rakh raha hun main shoale ke hat par apna bhi qatl hum ne kai dhang se kiya ab koi chaunkta hi nahin hadsat par behoshiyon ko nind se nisbat zarur hai kuchh khar bhi bichha le rida-e-hayat par ai 'nur' wo to hukm-e-saza de ke chal diya lafzon ka sara khun raha meri zat par