shayad mujhe tumne kabhi samjha bhi nahin tha

shayad mujhe tum ne kabhi samjha bhi nahin tha
main warna zamane mein muamma bhi nahin tha

kuchh der chamakta mere ghar mein to wo kaise
wo to meri palkon ka sitara bhi nahin tha

jaisa mujhe barbaad-e-jahan us ne kiya hai
is tarah to main ne kabhi socha bhi nahin tha

dekha to ye socha ki hamesha se hun waqif
pahle to agarche use dekha bhi nahin tha

aawaz diye jata tha dil dur se us ko
go us ne palat kar mujhe dekha bhi nahin tha

waqif hue duniya se to malum hua ye
apna jise samjhe the wo apna bhi nahin tha

kahne ki hai ye baat ki wo chhodta duniya
sachcha tha wo 'adil' magar itna bhi nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close