na shart koi hai apni na koi sauda hai

na shart koi hai apni na koi sauda hai
hamare sath agar tum chalo to achchha hai

lagi hai aag kahin ya charagh jalte hain
yahan se dur jo dekhen to kuchh ujala hai

hamare haal pe aansu hain us ki aankhon mein
magar khayal sa hota hai ye bhi dhoka hai

gaya to sadma nahin tha guman bhi tod gaya
hamein guman yahi tha ki wo hamara hai

bichhad ke tujh se nahin hum ko ranj-e-tanhai
hamare sath to ab wahshaton ka mela hai

agar mile to kabhi us se puchhna 'adil'
hamein batao koi yaad tum ko aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close