shekh ne naqus ke sur mein jo khud hi tan li phir to yaron ne bhajan gane ki khul kar than li muddaton qaim rahengi ab dilon mein garmiyan main ne photo le liya us ne nazar pahchan li ro rahe hain dost meri lash par be-ikhtiyar ye nahin daryaft karte kis ne is ki jaan li main to engine ki gale-bazi ka qail ho gaya rah gae naghme hudi-khwanon ke aisi tan li hazrat-e-'akbar' ke istiqlal ka hun mo'tarif ta-ba-marg us par rahe qaim jo dil mein than li