sher-goi ke is aazar mein shal hone tak mustaqil sochta rahta hun ghazal hone tak teri qurbat se kai raaz khule hain mujh par dil muamma tha mujhe ishq mein hal hone tak bistar-e-marg pe hun aur ye puchhun sab se nind aa jaegi kya subh-e-ajal hone tak dhundhle dhundhle se nazar aate the manzar mujh ko sinf-e-goyai ko aankhon ka badal hone tak khak bas khak hi hoti hai rag-e-jaan ke baghair hukm bas hukm hi rahta hai amal hone tak kitne hathon ko qalam kar diya jata hai yahan turbat-e-ishq ko ek taj-mahal hone tak kal mujhe wasl ke imkan bahut hain 'harshit' umr lagti hai magar aaj se kal hone tak