sher-goi mein sada meyar-e-fan rakkha karo

sher-goi mein sada meyar-e-fan rakkha karo
aur samundar fikr ka bhi maujzan rakkha karo

wahshaten tanhaiyon ki tum ko ghere hon agar
khud hi apni zat mein ek anjuman rakkha karo

mujh ko waise farq is se kuchh bhi ab padna nahin
be-rukhi mujh se rakho ya mera man rakkha karo

ghibat o bughz o ana ko chhod do sab ke liye
bad-gumani dur kar lo husn-e-zan rakkha karo

ye na socho yar se hain nafa-o-nuqsan kya
yar ki yaadon mein bas khud ko magan rakkha karo

jab khirad walon mein jao to junun bhi sath ho
apni danai mein kuchh diwana-pan rakkha karo

us ka jalwa aankh se to dekhna mumkin nahin
zehn-o-dil mein hi use jalwa-fagan rakkha karo

jahl ki aur kufr ki sab zulmaten chhant jaengi
kaba-e-dil ke liye ek barhaman rakkha karo

tum ki ‘akhtar-hashmi’ gumnam ho to kya hua
khud ko apne waste mahw-e-sukhan rakkha karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close