sher kahne ka maza hai ab to dil ka har zakhm hara hai ab to itna be-sarfa na tha dil ka lahu bagh daman pe khila hai ab to bujh hi jae na kahin dil ka charagh waqai tund hawa hai ab to zindagi zindagi hoti thi kabhi mar na jaane ki saza hai ab to tha koi shakhs kabhi mahram-e-dil wo mujhe bhul chuka hai ab to khugar-e-shahr hue diwane chaak-e-daman bhi siya hai ab to dil ka ye haal hamesha to na tha jaane kya mujh ko hua hai ab to