kat na pae ye fasle bhi agar aur us par ye rabte bhi agar jo tumhaari taraf nahin khulte band nikle wo raste bhi agar khair ho teri be-niyazi ki ab nahin khud-parast the bhi agar kya karenge siwae khwahish ke mohlat-e-yak-nafs mile bhi agar umr bhar ke ziyan ka mol nahin chand lamhe chura liye bhi agar khun-baha kaun dega jazbon ka baad marne ke ji uthe bhi agar kaun samjhega istiaron ko kuchh na bolenge hashiye bhi agar