shiddat bahaar ki bhi gawara nahin mujhe phulon ke todne ka bhi yara nahin mujhe maujon se khelta hun iradon ka daur hai maujon mein aarzu-e-kinara nahin mujhe main gir pada tha rah mein chalte hue magar phir bhi to doston ne pukara nahin mujhe kis din chubhi nahin hain masaib ki kirchiyan kis din tumhaare gham ne sanwara nahin mujhe rahta hun aarzuon ke chhote se shahr mein khush hun ki aarzu-e-bukhara nahin mujhe tum meri jaan ho jaan ka bharosa magar nahin yani ki e'tibar tumhaara nahin mujhe