shiddat-e-dard-e-jigar ho ye zaruri to nahin aur phir aankh bhi tar ho ye zaruri to nahin be-khudi bais-e-kulfat bhi to ho sakti hai har nafas kaif-asar ho ye zaruri to nahin khud ko pamal hi karna hai to ai josh-e-junun wo teri rah-guzar ho ye zaruri to nahin nashsha-e-khwab chura lae teri aankhon se nala-e-shab mein asar ho ye zaruri to nahin nazar aata hai jidhar silsila-e-naqsh-e-qadam meri manzil bhi udhar ho ye zaruri to nahin