palat ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar nae tariq se duniya mein nam paida kar tera mazaq udate hain dekhne wale agar nizam ghalat ho nizam paida kar nazar ko tur bana dil ko markaz-e-asrar gham-e-alast se aish-e-dawam paida kar sukun maut ki tamhid hai zamane mein lahu mein harakat o soz-e-tamam paida kar nasim-e-subh ki manind muskuraata chal gulon ki tarah zamana mein nam paida kar falak bhi teri bulandi ko pa nahin sakta hawas ko chhod ke lekin maqam paida kar amin-e-husn jahan-tab hai teri hasti jahan mein pukhtagi-e-ishq-e-kham paida kar khuda ke nam pe duniya ko lutne wale khudi ka dil mein zara ehtimam paida kar adu bhi naz uthae wo kaam kar 'shatir' zamana sar ko jhuka de wo nam paida kar