shiddat-e-shauq asar-khez hai jadu ki tarah dil ki dhadkan ki bhi aawaz hai ghunghru ki tarah main wo diwana-e-haalat hun sahra sahra jo phira karta hai bhatke hue aahu ki tarah jaane kis rang mein aai hai bahaaran ab ke phul bhi zakhm sa shabnam bhi hai aansu ki tarah wo jo amwaj-e-hawadis mein hain palne wale un ko tufan nazar aata hai lab-e-ju ki tarah gum-rah-e-shauq ko hamrah dikhane ke liye zulmat-e-shab mein chamakte rahe jugnu ki tarah fikr-o-fan ki nae gul-daste saja kar 'wahid' aao bas jaen har ek zehn mein khushbu ki tarah