muddat hui hai madh-e-hasinan kiye hue nur-e-sukhan se dil ko charaghan kiye hue arsa hua hai wasf-e-bahaar-e-jamal se ru-e-waraq ko rashk-e-gulistan kiye hue barson hue hain tazkira-e-soz-e-ishq se bazm-e-sukhanwari ko darakhshan kiye hue aata hai kis shikoh se wo rashk-e-aftab zulmat-kade dilon ke charaghan kiye hue jata hun ku-e-yar ko dekh ai ghata mujhe barpa hujum-e-ashk se tufan kiye hue baithe hain hum tasawwur-e-gesu-e-yar mein is zindagi ko khwab-e-pareshan kiye hue khun kar ke le chala hun dil-o-jaan ko apne sath didar-e-ru-e-yar ka saman kiye hue mar mitiye is ada pe ki kuchh log jal-bujhe sine mein soz-e-ishq ko pinhan kiye hue wo nau-bahaar-e-husn bhi is rah se gaya har naqsh-e-pa ko rauza-e-rizwan kiye hue