shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna jism-e-majnun mein hua tang shaloka apna yar banta nahin wo nur ka putla apna khak mein mil gaya taskhir ka dawa apna mai-kashon mein na koi mujh sa namazi hoga dar-e-mai-khana pe bichhta hai musalla apna wasl ki raat bahut tul hua aakhir-kar mukhtasar ye hai ki faisal hua qissa apna gul khila kar abhi bulbul ko jalaun kya kya wo inayat karen gar por ka chhalla apna rabbi-areni ki sada ho bhi to but bol uthen aap dikhlaen agar dair mein jalwa apna aaina-khana mein chal baithiye do-chaar ghadi dekhna howe jo manzur tamasha apna jite-ji khwesh-o-aqarib the pas-e-marg afsos khak mein dab diya koi na samjha apna kisi sayyaad ki pad jae na chidiya pe nazar aap sarkaen na mahram se dupatta apna aap sau bar ukhad jaen nahin kuchh parwa jam gaya ek pari-zad se naqsha apna dam-e-mahram mein phansaya hai khuda khair kare aashiyana na bana baithe ye chidiya apna garm-khwabi ne teri zabh kiya ai qatil ek dam bhi na kaleja hua thanda apna rind-mashrab hain kisi se hamein kuchh kaam nahin dair apna hai na kaba na kalisa apna hai wahi sar wahi sauda wahi josh-e-wahshat wasl tabdil hui rang na badla apna un ki zulfon ko ye dawa hai ki hum kale hain hum ne bachte nahin dekha kabhi mara apna ghair se rakhiye na imdad ki ummid 'agha' kaam aata hai meri jaan bharosa apna