shikast-e-dil mein bhi ek zindagi nazar aai diya bujha to hamein raushni nazar aai faraaz-e-dar pe koi hamein na pahchana zamane walon ko khush-qamati nazar aai sar-e-dayar-e-wafa doston ke jhurmut mein darida jism liye dosti nazar aai ab aur tarz se naqqara-e-khuda gunje zaban-e-khalq to khamosh hi nazar aai wo rakh-rakhaw na dekha diye ke jalne mein jo us ke bujhne mein shaistagi nazar aai