zakhm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye jo rah gai dilon mein wo hasrat se puchhiye jaan-dadgan-e-aish ka anjam kya hua aawargan-e-kucha-e-wahshat se puchhiye main kho gaya hun apni zarurat ki bhid mein main kya hun mujh ko meri zarurat se puchhiye afsos hai mujhe meri ghairat ki maut par kyun ki hai khud-kushi meri ghurbat se puchhiye hum kyun hawas-parasti ka ilzam den use sab aaj apni apni mohabbat se puchhiye kahte hain kis ko hashr qayamat hai kis ka nam ham-sakinan-e-shahr-e-qayamat se puchhiye khulte kahan hain sab pe ye asrar harf ke ramz-e-sukhan ko ahl-e-farasat se puchhiye kyun wo zaban-daraaz bhi khamosh ho gaya 'shahid'-kamal us ki raunat se puchhiye