shikast-e-sham ka manzar bhari bahaar mein tha main apne ghar mein bhi rah kar kisi hisar mein tha main ek gharib wo lakhon ke karobar mein tha mera wajud magar phir bhi ikhtiyar mein tha kiya hai apne hi logon ne paemal mujhe gila ho kis se ki main khud hi eatibar mein tha bahaar ki jagah kaise khizan chali aai numu ka hausla jab shakh-e-barg-o-bar mein tha nikal saka na wo zulmat ki kashakash se sahar ke waste wo kab se intizar mein tha jo apni zat mein ek anjuman raha ai 'shauq' bikhar gaya to wo yaadon ki rahguzar mein tha