waqt ka kya hai taqaza nahin dekha jata ishq mein adna-o-ala nahin dekha jata ek hi waqt mein mil jae to pichha chhute zindagi bhar ka sulagna nahin dekha jata ye shab-o-roz ye mausam ye badalte manzar raat-din ka ye tamasha nahin dekha jata aaina dekh ke hum khud ko na pahchan sake apne chehre ka bikharna nahin dekha jata jaane haalat hamein aur dikhaen kya kya nasl-e-nau ka ye bahakna nahin dekha jata shoabada-baz siyasat se to baz aae hum kya karen hum se dikhawa nahin dekha jata 'shauq' us khwab ki tabir mili hai aisi ab koi khwab suhana nahin dekha jata