shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun main khud bhi khud ko sunna chahta hun nahin mere liye kya aur koi usi ka rasta kyun dekhta hun usi sahil pe dubunga jahan se samundar ka tamasha kar raha hun charagh-e-shola-e-sar hun aur hawa mein sar-e-diwar-e-jaan rakkha hua hun guzarna hai jise sahra se ho kar main us dariya ke dukh se aashna hun visal-e-yar ki khwahish mein aksar charagh-e-sham se pahle jala hun ghunuda saaton ki shab se 'tishna' tawaf-e-ariz-o-lab kar raha hun