shikast-e-zat ka tufan bhi to dekhna tha

shikast-e-zat ka tufan bhi to dekhna tha
phir apni raat ka nuqsan bhi to dekhna tha

guzasht-gan-e-tamanna ke zakhm dekh aae
hamare ahd ka insan bhi to dekhna tha

wo khali jazbe wo khali makan wo khali sada
tamam shahr ko viran bhi to dekhna tha

bana tha ab ke mohabbat ka ek naya manshur
junun mein ab ke gareban bhi to dekhna tha

jo chhod aae wahi ruh ki zarurat thi
jo bach gaya tha wo saman bhi to dekhna tha

jo khali hath hi laut aae kar ke ghar ka tawaf
bhari nigah se dalan bhi to dekhna tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close