sukut-e-shab ne pukara to sab nikal aae hamein khabar na hui jaane kab nikal aae abhi to ret si bikhri hui thi hadd-e-nigah zara si aankh lagi nakhl-e-shab nikal aae wo teri nind thi jo be-khabar rahi shab bhar wo mere khwab the jo ba-adab nikal aae nikalna tha ghubar-e-safar magar ye qadam hawa-e-shauq mein sahra-talab nikal aae qadam qadam pe yahan qahqahe lage hue hain ye kaise shahr mein hum be-sabab nikal aae phir ek lamhe ko thahra nahin gaya hum se hamare dil ne kaha ab to ab nikal aae