shikast kha ke bhi kab hausle hain kam mere mere kate hue hathon mein hain alam mere panah-gah mujhe bhi to saur jaisi de meri talash mein dushman hain taza-dam mere tujhe main kaise bataun kahan se kaisa hun ulajh rahe hain ba-dastur pech-o-kham mere kis aasman ki wusat talash karte hue zamin se dur nikal aae hain qadam mere tu ye sawal bhi ab dajla o furaat se puchh main kya bataun kahan lut gae haram mere jami rahi hai chatanon pe barf sadiyon tak to ja ke phir kahin patthar hue hain nam mere