ghulam-zadon mein koi ghulam hai hi nahin hamare shahr mein sach ka nizam hai hi nahin ye log jald hi patthar mein dhalne wale hain yahan kisi se koi ham-kalam hai hi nahin main dekhta hun unhen aur guzarta jata hun tamam chehre hain chehron ke nam hai hi nahin tumhaari marzi hai rakh lo hamein ya thukra do hamare pas mohabbat ka dam hai hi nahin ye log use teri taswir hi samajhte hain par us ke jaisa koi khush-kalam hai hi nahin wahan pe khwabon ko khairaat kar ke chalte bano jahan shuur-e-halal-o-haram hai hi nahin zara si lahje ki narmi se man jaenge ki bigde logon ka koi imam hai hi nahin