shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi bikhar gaya jo hawa se wo naqsh-e-pa hi sahi ye hukm hai ki gae mausamon ko yaad karun nai ruton ka tajassus mujhe mila hi sahi zamin ke baad abhi aasman ke dukh bhi sahun mere liye ye saza hai badi ata hi sahi charagh kah ke mera nur mujh se chhin liya charagh phir bhi rahunga bujha hua hi sahi saja liye hain masaib ke nir aankhon mein sukun ki nind nahin hai to ratjaga hi sahi ai dhadkanon ko naya nur bakhshne wale main nur se hi tahi tu meri khata hi sahi haqiqaton ke badan par koi labaada nahin agar ye sach ki saza hai to phir saza hi sahi ye dil ka karb labon tak kabhi na aaega mere liye ye khamoshi ka irtiqa hi sahi jahan ke dard ko 'anwar' ne samet liya main ek khushi ki tamanna mein mar-mita hi sahi