shikasta-pa ko bhi ab zauq-e-rah-nawardi hai dilon mein hum ne wo dhun manzilon ki bhar di hai guzar kar teri yaadon mein chaar din hum ne samajh liya ki koi khas baat kar di hai meri talab meri hasti se kuchh ziyaada na thi agarche mujh pe ye tohmat jahan ne dhar di hai jo raste nazar aate hain jaane-pahchane unhin ne gum-shudagi ki hamein khabar di hai mila suragh-e-haqiqat to dekhta kya hun ki us ne quwwat izhaar khatm kar di hai na puchh aagahi-e-gham ki yun hua mahsus dahakti aag pe main ne zaban dhar di hai bahut bujhi hui baaton ka bojh hai dil par magar kisi ko bhi kya 'talkh' ne khabar di hai