shikayat-e-gham-e-hijran is ehtimam ke sath

shikayat-e-gham-e-hijran is ehtimam ke sath
ki dil khamosh hua hai kisi ke nam se sath

qusur tha lab-o-lahja ka warna ai saqi
kahan tha mai ka taqaza mere salam ke sath

masarraton ne jo chheda to aankh bhar aai
hansi bhi aai mujhe gham ke ehtiram ke sath

zarur gardish-e-dauran ki sans ruk jati
tumhaara raqs bhi hota jo raqs-e-jam ke sath

usi ka ham-safar-e-shauq kar diya mujh ko
zamana chal na saka jis subuk-khiram ke sath

nazara yun ho ki nazron ki tishnagi na bujhe
ye shart-e-khas bhi rakh di hai izn-e-am ke sath

hai khud hi ek mukammal fasana ai 'jauhar'
kisi ka nam mere zikr-e-na-tamam ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close