shikwa ban kar fughan se uthta hai shoala-e-gham zaban se uthta hai phir jala aashiyan koi shayad phir dhuan gulsitan se uthta hai tut jata hai silsila lai ka jab koi darmiyan se uthta hai thahre pani mein kuchh nahin hota shor aab-e-rawan se uthta hai sar mein sauda-e-bandagi hai 'asar' kaun is aastan se uthta hai