shikwa-e-gham na masaib ka gila karte hain rab ka har haal mein hum shukr ada karte hain wo ibaadat nahin karte hain riya karte hain jo dikhawe ke liye zikr-e-khuda karte hain marifat ishq ki ho jati hai jin ko hasil sajda-e-shauq wo teghon mein ada karte hain khatm hogi na kabhi haq ke charaghon ki ziya ye diye tund hawa mein bhi jala karte hain apne begane ki tafriq nahin un ka shiar jo bhale log hain wo sab ka bhala karte hain wo bhi mujrim hain barabar ke sitamgar ki tarah har sitam sah ke jo khamosh raha karte hain jab laga rog mohabbat ka to mahsus hua log kyon ishq ko aazar kaha karte hain haq-bayani hai agar jurm to hum hain mujrim zulm se ladna khata hai to khata karte hain husn paida karo kirdar-o-amal mein apne ghair ko dekho na 'ahsan' ki wo kya karte hain