tamam shahr hai apna magar akela hun hai mere sath zamana magar akela hun ajib kaifiyat-e-be-qarari-e-dil hai hujum-e-gham ka hai nargha magar akela hun tumhaare aane se hi dur hogi tanhai hai teri yaadon ne ghera magar akela hun chala hun shahr-e-sitam mein payam-e-amn liye buland hai mera jazba magar akela hun tu sath de to main chhu lun bulandi-e-aflak mera bhi azm hai uncha magar akela hun kuchh aur pyar ke jharne bahen to baat bane main hun khulus ka chashma magar akela hun na jaane kaisi hai qismat mujh ek qatre ki hua hun shamil-e-dariya magar akela hun rah-e-wafa mein koi ham-safar nahin mera main karwan ka hun hissa magar akela hun kiya na tark jahan ko hua na sahra-naward bana hai logon se rishta magar akela hun na jaane kho gai apnaiyat kahan 'ahsan' laga hai apnon ka mela magar akela hun