shikwa hai kisi se na shikayat na gila hai

shikwa hai kisi se na shikayat na gila hai
ye zist mere jurm-e-mohabbat ki saza hai

ai saqi-e-mai-khana tu kya soch raha hai
chhai hui maikhane pe sawan ki ghata hai

ghairon ki shikayat hai na kuchh tujh se gila hai
mujh se to har ek hamdam-e-derina khafa hai

ye tera karam hai ki mohabbat ka sila hai
har zakhm teri yaad ka ek phul bana hai

ai chaaragaro tum se to ye bhi nahin hota
ek harf-e-tasalli jo dawa hai na dua hai

ab harf-e-tamanna bhi nahin lab pe hamare
kya kahiye kahan ishq ne dam tod diya hai

daman ki hamein apne khabar ho na ho lekin
hum ahl-e-junun ne tera daman to siya hai

ai mauj-e-hawadis na ulajh hum se ki hum ne
ek aan mein tufan ka rukh mod diya hai

sach puchhiye 'zamzam' to ab is daur-e-hawas mein
jine hi ka kuchh lutf na marne ka maza hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close