shikwa hai na ghussa hai ki main kuchh nahin kahta kyun aap ko dhadka hai ki main kuchh nahin kahta chup rahne do dam-bhar mujhe lillah na chhedo ab is se tumhein kya hai ki main kuchh nahin kahta is lutf-zabani ko zara sochiye dil mein ye uzr to beja hai ki main kuchh nahin kahta us lutf-e-zabani ko zara sochiye dil mein ye uzr to beja hai ki main kuchh nahin kahta munh mera na khulwao ki ho jaenge lab band dekho yahi achchha hai ki main kuchh nahin kahta darta nahin jo dil mein ho dushman ke lagae un par ye huwaida hai ki main kuchh nahin kahta kyun rukte ho aadat se hun majbur wagarna kuchh aap se parda hai ki main kuchh nahin kahta ab wo bhi ye samjha ki ye samjha meri ghaten is baat se darta hai ki main kuchh nahin kahta har roz nae dhang hain khatir ke 'nasim' aah kal se yahi sauda hai ki main kuchh nahin kahta