zakhm khane se ya koi dhoka khane se hua baat kya thi main khafa jis par zamane se hua ek pal mein ek jagah se itna raushan aasman koi tara bante bante tut jaane se hua sochta rahta hun main aksar ki aaghaz-e-jahan din banane se ki pahle shab banane se hua main ghalat ya tum ghalat the chhodo ab is baat ko hona tha jo kuchh wo jaise ek bahane se hua kuchh zamane ki rawish ne sakht mujh ko kar diya aur kuchh bedard main us ko bhulane se hua baat sari asl mein ye thi main us se bad-guman ek talluq mein kahin pe shak ke aane se hua bach hi nikla hun main jade ki badi yalghaar se garm ab ke ghar badan ka khas jalane se hua kya kahun meri giraftari ka koi ehtimam kaise zer-e-dam rakkhe ek dane se hua umr bhar ka ye jo hai 'shahin' khasara ye mujhe ek saude mein koi neki kamane se hua