shikwa hum tujh se bhala tez hawa kya karte ghar to apne hi charaghon se jala kya karte tum to pahle hi wafaon se gurezan the bahut tum se hum tark-e-talluq ka gila kya karte gul mein rangat thi nazaron mein jawani tujh se hum tere baad bahaaron ka bhala kya karte tujh se dil mein jo gila tha wo na lae lab par phir se hum bhar gae zakhmon ko hara kya karte hum to kar dete gila tujh se na aane ka tere ghont deti thi par ummid gala kya karte jis ki ulfat mein har ek chiz luta di 'fayyaz' hum ko samjha gae aadab-e-wafa kya karte