shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai kal yun tha ki ye qaid-e-zamani se the bezar fursat jinhen ab sair-e-makani se nahin hai chaha to yaqin aae na sachchai pe us ki khaif koi gul ahd-e-khizani se nahin hai dohraata nahin main bhi gae logon ki baaten is daur ko nisbat bhi kahani se nahin hai kahte hain mere haq mein sukhan-fahm bas itna sheron mein jo khubi hai muani se nahin hai