shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui jo umr sarf-e-tamasha-e-husn-e-yar hui hisab-e-hasrat-e-jurm-e-nazara dil se puchh nazar to ek jhalak ki gunah-gar hui bisat-e-ajz mein ek aah thi mata-e-hayat so wo bhi sarf-e-sitam-ha-e-rozgar hui ba-qadr-e-hasti-e-dil hai khumar-e-gham badnam khizan kharab ba-andaza-e-bahaar hui nahin ki aah mein tasir hi nahin lekin ye dil-figar kabhi aasman-figar hui karam hai raaz ummid-e-karam ki hasti ka ummid tere karam ki ummid-war hui bala se hijr mein jine ki intiha to hai wo ek bar hui ya hazar bar hui azal mein khalq hui thi jo bijliyon ki ruh teri nigah meri jaan be-qarar hui mere wajud ki hujjat mere adam ki dalil wo ek nazar thi jo shayad jigar ke par hui bahaar nazr-e-taghaful hui khizan thahri khizan shahid-e-tabassum hui bahaar hui ummid-e-marg pe 'fani' nisar kya kije wo zindagi ki hui bhi to mustaar hui