shikwa na raqibon se na jaanan se gila hai mujh ko faqat apni dil-e-nadan se gila hai yun khak-basar mujh ko na karna tha jahan mein ai yar teri zulf-e-pareshan se gila hai bimar-e-mohabbat ki ayaadat ko na aae kya hijr dawa tha mujhe darman se gila hai aansu jo na bahte to main aankhon se na girta mujh ko bahut is dida-e-giryan se gila hai dam-bhar nahin lagti hai palak se palak apni ginwati hai tare shab-e-hijran se gila hai aae bhi to khae na gilauri na mala itr roki meri dawat mujhe mehman se gila hai bakhiye ki hawas rah gai afgar dilon ko har zakhm ko us sozan-e-mizhgan se gila hai gul-bu na kabhi lae shikayat hai saba hai bheja na koi phul gulistan se gila hai naghme na sunae kabhi ahbab-e-qafas ko gulzar ke murghan-e-khush-alhan se gila hai rahne ko thikana nahin milta kahin us ko majnun ko tere gosha-e-zindan se gila hai soya na kabhi chandni mein sath hamare hum ko yahi is mah-e-darakhshan se gila hai roka mujhe aghyar ko jaane diya ghar mein shikwa sag-e-jaanan se hai darban se gila hai is se hui furqat na hui in mein judai ai 'bahr' mujhe apne tan-o-jaan se gila hai