hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte marte hain wale un ki tamanna nahin karte dar-parda unhen ghair se hai rabt-e-nihani zahir ka ye parda hai ki parda nahin karte ye bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai 'ghaalib' ko bura kahte hain achchha nahin karte