shikwa nahin chaman mein hamein Khaar-zar se

shikwa nahin chaman mein hamein khar-zar se
ab dil ko chot lagti hai fasl-e-bahaar se

dafnae main ne phul kahan un ki yaadon ke
puchho dil-e-shikasta ke ujde dayar se

mahsur kis tarah hon meri khun-fishaniyan
bahne lagi hain ye nigah-e-ashk-bar se

yaadon ke jugnuon ne jala to diya hamein
chaliye mili rihai shab-e-intizar se

dekhen kidhar se milti hai ab zindagi ki bhik
sina-figar se ya kisi gham-gusar se

dil ke har ek zakhm bichhae hain rah mein
dhak jaen rahnumaon ke gard-o-ghubar se

likhwae dushmanon se mere khat ka wo jawab
hum bhi jawab denge dil-e-daghdar se

chaha tha jab bhi phunk diya meri hasti ko
utthega kitni bar dhuan is mazar se

jo phul aae mere liye wo hain chashm-e-nam
ab ghar sajaiye 'shafaq' ashkon ke haar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close